to, from |
topic |
2025-04-06, 2025-04-04 |
Haqiqat yeh hay k gardish main sitaara chal raha hay,guzaari jaa rahi hay,bus guzaara chal raha hay.main kaafi dair say kucch tay nahi kar paa raha hoon yeh,kashti chal rahi hay yah kinaara chal raha hay.. |
2025-04-04, 2024-04-12 |
koi tou hota jo EID k din,yeh pooch leta,yeh uljhay bikhray se baal kiun hain,siyah sogi Libaas pehnay yeh kis k gham main paray howay ho?yeh rog kesa,yeh sog kesa?mein us k shaanay pay sir tika kar ussay batata,main zindagi say nibah kartay,kisi jagah say bhatak giya hun,mein thak giya hoon.... |
2025-03-30, 2025-03-26 |
Taaq raaton ki khair ho Mola,dard logon k ab bhi baaqi hain,teray banday udaas ankhon say,jaanib e arsh taktay rehtay hain,pait bhookay,sir bhi nangay,phir bhi teri raza pay raazi hain,Baab e Rehmat ki khair ho Mola,rehmatin ja baja barasti hain,hum ghareebon ki arziyan lekin,teri "KUN" k liey tarasti hain |
2025-03-26, 2025-03-22 |
her lafz k tamam maani main hum bhi thay,kiya dour tha k teri kahani main hum bhi thay.tu aam sa na jaan hamain aaey haseen shakhs,jaisa tu ab hay waisay jawani main hum bhi thay.uth`ti hay ek kasak teri tasveerain dekh kar,taaza main hum nahi,puraani main hum bhi thay.. |
2025-03-21, 2025-03-19 |
Ajeeb dukh hay hawa k taazyaano main,charagh bujhnay lagay sheher k makanoon main.tamam sheher jisay aankh main liey howay hay.vo shakhs bhi tha kabhi meray meezbanoo main.meray wajood say inkaar karnay walay shakhs.main maangti rahi tujhko aastanoon main |
2025-03-18, 2025-03-15 |
laazim nahi her baar tujhay hum hoon moyassar.mumkin hay tu es baar hamain sach main ganwa day.kab tak teri yaadon ki azziyat ko sahoon main?es karb say mujhko koi azaad kara day,jeenay nahi deta yehi ehsaas shab-o-roz,barson ki rafaqat koi lamhoon main bhula day. |
2025-03-15, 2025-03-12 |
koi tou naam ho ga yaar anookhay es taaluq ka,ussay main kho nahi sakta,ussay main paa nahi sakta.bhala kaisay bataoun dukh kisi matrook gamlay ka,jisay paani nahi milta,jo paani la nahi sakta |
2025-03-11, 2025-03-09 |
Lahoo main her ghari pheli yeh wehshat maar daalay gi,mujhay hasaas honay ki azziyat maar daalay gi..agar khamosh rehta hun Khuda naraz hota hay,agar izhaar karta hun to khalqat maar dalay gi..zara sa mukhtalif honay pay tanha ho giya hun mein,khud apnay sheher main yeh ajnabiyat maar dalay gi |
2025-03-08, 2025-03-04 |
waisay socha tha mohabbat nahi karni menay,es liey ki k kabhi pooch hi leta hay koi.Jaanta hoon k tujhe sath tou rakhte hain kai,Poochna tha keh tera dhiyaan bhi rakhta hai koi?? |
2025-03-03, 2025-03-02 |
As The Crescent Moon Is Sighted And The Holy Month Of Ramadan Begins... May Allah Bless You All With Happiness And Grace Your Home With Warmth And Peace. " Ramadan Kareem " ... From #Pakistan Admin Team |