to, from |
topic |
2025-04-17 |
kiya batain k mohabbat say sambhalay na gaey,aur duniya main kabhi khof k maaray na gaey.hum nay tou tum say mohabbat ki umeedain ki theen,tum nay bhi din wohi dikhlaey jo dekhay na gaey.. |
2025-04-17, 2025-04-12 |
bichhray tou qurbaton ki dua bhi na kar sakay,ab k tujhay sapurd-e-Khuda bhi na kar sakay.naazuk mizaaj log thay hum jaisay aaina,tootay kucch es tarah,k sada bhi na kar sakay.khush bhi na rakh sakay tujhay hum apna chaah main,acchi tarah say tujh ko khafa bhi na kar sakay... |
2025-04-12, 2025-04-08 |
vo maseeha na bana hum nay bhi khuwahish nahi ki,apni shartoon pay jiey,uss say guzarish nahi ki.hum tou suntay thay k mil jatay hain bichhray howay log,tu jo bicchra tou waqt nay Gardish nahi ki.uss nay ek roz kiya hum say acchanak vo sawal,dharkanain tham si gaen,waqt nay junbish nahi ki |
2025-04-08, 2025-04-04 |
Haqiqat yeh hay k gardish main sitaara chal raha hay,guzaari jaa rahi hay,bus guzaara chal raha hay.main kaafi dair say kucch tay nahi kar paa raha hoon yeh,kashti chal rahi hay yah kinaara chal raha hay.. |
2025-04-04, 2024-04-12 |
koi tou hota jo EID k din,yeh pooch leta,yeh uljhay bikhray se baal kiun hain,siyah sogi Libaas pehnay yeh kis k gham main paray howay ho?yeh rog kesa,yeh sog kesa?mein us k shaanay pay sir tika kar ussay batata,main zindagi say nibah kartay,kisi jagah say bhatak giya hun,mein thak giya hoon.... |
2025-03-30, 2025-03-27 |
Taaq raaton ki khair ho Mola,dard logon k ab bhi baaqi hain,teray banday udaas ankhon say,jaanib e arsh taktay rehtay hain,pait bhookay,sir bhi nangay,phir bhi teri raza pay raazi hain,Baab e Rehmat ki khair ho Mola,rehmatin ja baja barasti hain,hum ghareebon ki arziyan lekin,teri "KUN" k liey tarasti hain |
2025-03-26, 2025-03-22 |
her lafz k tamam maani main hum bhi thay,kiya dour tha k teri kahani main hum bhi thay.tu aam sa na jaan hamain aaey haseen shakhs,jaisa tu ab hay waisay jawani main hum bhi thay.uth`ti hay ek kasak teri tasveerain dekh kar,taaza main hum nahi,puraani main hum bhi thay.. |
2025-03-21, 2025-03-19 |
Ajeeb dukh hay hawa k taazyaano main,charagh bujhnay lagay sheher k makanoon main.tamam sheher jisay aankh main liey howay hay.vo shakhs bhi tha kabhi meray meezbanoo main.meray wajood say inkaar karnay walay shakhs.main maangti rahi tujhko aastanoon main |
2025-03-18, 2025-03-15 |
laazim nahi her baar tujhay hum hoon moyassar.mumkin hay tu es baar hamain sach main ganwa day.kab tak teri yaadon ki azziyat ko sahoon main?es karb say mujhko koi azaad kara day,jeenay nahi deta yehi ehsaas shab-o-roz,barson ki rafaqat koi lamhoon main bhula day. |
2025-03-15, 2025-03-12 |
koi tou naam ho ga yaar anookhay es taaluq ka,ussay main kho nahi sakta,ussay main paa nahi sakta.bhala kaisay bataoun dukh kisi matrook gamlay ka,jisay paani nahi milta,jo paani la nahi sakta |