bis, von |
Thema |
2024-03-28, 2024-03-27 |
Hum nay dekhay hain khawab sholon k....neend aankhon main jal gai ho gi.....ek jahanam hay mera seena bhi,,,aarzoo kab ki "GAL" gai ho gi..Sun kay logon kay zehr say fiqray....dekh kar apnay ghar ki barbadi....main bhi jab muskura hi leta hoon.....tum to kitna badal gayee ho gi ... |
2024-03-27, 2024-03-23 |
Hamaray pass rehtay tou humko jenay ka guman rehta,hamari rooh main umeed ka roshan nishan rehta,tuhjhay bhi sheher ki es bheer main aay dost khona tha,hamin tou saath mil kar zindagi ka bojh dhona tha, tumhi tou meray jaisay thay,Tumhain Tou Mera Hona Tha |
2024-03-23, 2024-03-18 |
kheenchti hay mujhay duniya bhi..teri khuwahish bhi....lamha lamha mujhe do neem kiya jata hay.....khud mera naam bhi aata nahi hissay mein meray...jab mujhe eshq pay taqseem kiya jata hay....welcoem to #pakistan :) |
2024-03-18, 2024-03-16 |
Bayzameen logo ko,bayqarar aankhon ko,badnaseeb qadmoon ko jis taraf bhi lay jain,raaston ki marzi hay.baynishan jazeeron per,badguman shehron main,bayzaban mussafir ko,jis taraf bhi bhatka dain,saath chalnay waalon ki raakh bhi ura daalin,yah musaftain saari khaak main mila daalin,raaston ki marzi hay |
2024-03-16, 2024-03-13 |
Dard k phool bhi khiltay hain bikhar jaatay hain,zakham kaisay bhi hoon,kucch roz main bhar jaaatay hain.chhat ki `karion` say utartay hain meray khawab magar,meri diwaaron say takra k bikhar jatay hain.es dareechay main bhi ab koi nahi aur hum bhi,sir jhukaey howay chup chap guzar jatay hain... |
2024-03-13, 2024-03-11 |
As The Crescent Moon Is Sighted And The Holy Month Of Ramadan Begins... May Allah Bless You With Happiness And Grace Your Home With Warmth And Peace. " Ramadan Kareem " From #Pakistan Admin Team |
2024-03-10 |
Aurat hoon magar soorat-e-kohsaar khari hoon,ek sach k tahafuz k liey sab say lari hun.vo mujh say sitaaron ka pata pooch raha hay,pathar ki tarah jiski angoothi main jari hoon.alfaaz na awaaz,nah humraz na dum saaz,yeh kesay duraahay pay mein khamosh khari hoon. WOMEN`S DAY |
2024-03-09 |
Welcome to #Pakistan - Happy Woman's day! |
2024-03-08 |
her yaad apna hissa alag mangnay lagi... dil main hain jaidaad k jhagray paray howay .... Majzoob |
2024-03-07, 2024-03-02 |
Sittam ko hum qaram samjhay, jaffa ko hum wafa samjhay.. aur usper bhe na "WO" samjhay, tau us bu'tt say khuda samjhay..!! |